"How to Start a Newsletter in 2025 and Earn ₹25,000/month – Step-by-Step Blueprint"
(Newsletters are blowing up again thanks to Substack and Beehiiv)
1. Newsletter Kya Hota Hai aur Kyu Start Karna Chahiye?
Newsletter Ek regular email hota hai jo logon Ko information deta Hai content se related aur tips related ya fir Kisi alag specific topic se related.
Aaj ke time mein log personalised aur curated content pasand karte Hain, aur yahi reason Hai Ki Substack or Beehiiv Jaise platform per news later fir se popular ho rahe hain.
Yadi aap likhna pasand karte Hain aur kisi Ek niche mein expert hai news network aapke liye perfect side Hustle hai.
2. Apna Niche Choose Karo (Bahut Important Step)
To bhaiyon sabse pahle to aapko apna niche select karna hoga ki aap kis topic per ya kis niche per sabse Jyada likhna pasand karte Hain ya kis per sabse Jyada aap likh sakte hain,
Kuchh popular Newsletter Niche's is prakar Hain 👇
Personal finance ya investing
Freelancing ya remote work
Mental health / self-help
AI aur tech updates
Productivity hacks
Bollywood ya pop culture
Yadi aapka passion aur logon ki demand mil jaaye to Ek Perfect Niche Ban sakti hai
Aapka Passion + Logon Ki Demand = Perfect Niche
3. Platform Choose Karo – Substack ya Beehiiv?
Substack aur Beehiiv dono hi free aur beginner-friendly platforms hain jahan aap apna newsletter bina coding ke start kar sakte ho vah bhi bahut aasani se,
Substack: Writing-focused platform hai, easy to use, built-in audience bhi mil sakta hai.
Beehiiv: Zyada features deta hai – jaise referral system, custom domains, analytics etc.
Agar beginner ho to Substack se start karo. Jab thoda grow ho jao to Beehiiv me shift kar sakte ho.
4. Signup Karke Apna Newsletter Set Karo
Platform select karne ke baad simple signup karo.
Uske baad:
Apne newsletter ka naam socho (jaise: “MoneyTalks with Aditya” ya “Startup Shots By Aadi”)
Ek short description likho – short description mein dikhao ki log aapko agar subscribe karte Hain To unhen aapse Kya fayda Hoga ya unhen aapse kya milega.
Apna welcome email setup karo – yah bahut jaruri hai - Pehla impression acha hona chahiye!
5. Regular Content Likho (At Least Hafte Me 1 Baar)
Newsletter me consistency sabse important hoti hai.
English mein kaha bhi gaya hai "Consistency is the key of success."
Aapko sochna hoga:
Har Saptaah ke liye theme kya hoga ?
Kya value de rahe ho logon ko, kya vah usse attach kar pa rahe hain ?
Writing engaging aur simple ho, Jo aasani se sabhi ko samajh mein aa sake.
Pro tip: Ek content calendar banao taaki planning easy ho jaaye, aur use consistency ke sath follow bhi karo.
6. Audience Build Karna Shuru Karo (Paise Tabhi Aayenge, jab aapke pass audience Hogi)
Aapka newsletter tabhi grow karega jab log usse subscribe karenge.
Aap kuch is tarike se bhi start kar sakte ho :
Apne doston, family aur colleagues ko bhejo (in Sabhi Ke reviews aapke liye matter karte Hain)
LinkedIn, Instagram ya Twitter pe share karo (Jyada Se Jyada logon Tak pahunchne ke liye social Media ka use karo)
WhatsApp broadcast list banao (jinhen aap jante Hain unhen share Karen)
Quora, Reddit jaise jagahon pe helpful answers likho aur newsletter plug karo (isse aapko globally rank karne mein aasani Hogi, aur ek unique traffic generate hoga)
Beehiiv me referral system bhi hota hai – use zaroor karo! (Referral se aapko sabse Jyada fayda milega Bina kisi mehnat ke)
7. Free Se Paid Tak – Monetize Karna Kaise Shuru Karein?
Jab aapke paas 300-500 loyal subscribers ho jaayein, tab paid subscription ka option shuru karo.
₹99/month ya ₹199/month ka plan rakho
Exclusive content do – jaise premium guides, templates, case studies etc.
Ads Aur sponsorships bhi ek Achcha option hai.
Passive income banane ka ye best tareeka hai.
In Sabhi option se aapke income badhati jayegi
8. ₹25,000/Month Kaise Kama Sakte Ho?
Ek Aasan wala ganit (Math) samjho :
200 log ₹125/month de rahe hain = ₹25,000
Ya 5000 log free wale newsletter padh rahe hain + aap 2-3 sponsors se ₹8000-₹10,000/month kama rahe ho
Focus karo high-value content aur slow-n-steady audience building pe.
Ek baar base ban gaya to income grow hoti rahegi.
9. Bonus Tips for 2025 Newsletter Success 🚀
AI tools (jaise ChatGPT, Gemini etc.) ka use karo content ideas aur drafts ke liye, yah bahut helpful AI hai.
Mobile-friendly design rakho, jisse yah easily har user ke liye uplabdh ho sake.
CTA (Call-to-action) hamesha include karo – “Subscribe karo”, “Reply karo”, “Share karo” (Aisa karne se aapke subscriber growth teji se bhi badh sakte hain kyunki aap unhen direct bol rahe hain subscribe karne ke liye to ise bahut se Youtubers bhi use karte hain vaise hi aap bhi kar sakte hain)
Readers ka feedback lo, unse pucho kya aur chahiye ?
Reader se feedback Lene se aapko agale topic ke liye Jyada mehnat nahin karni padegi aur reader bhi aapse attach rahenge.
Yadi aapko Mera yah blog pasand aaya Ho to please aap Sabhi se nivedan hai ki aap bhi Mujhe subscribe jarur kar lena thank you 😇❤️
0 Comments